Thursday, January 27, 2011

Aik Umeed

“ ILM HASIL KRO, BESHAK US K LIYE TUMHAY CHEEN HE KYUN NA JANA PARAY “.
Iss HADEES MUBARKA ki Roshni sey is baat ka andaza lgaya ja sakta hai k Taleem ki kia Ahmiyat hai or ye Insani Zindagi k liye kitni zaruri cheez hai.
Pakistan ko Muariz e wajood mai aye hue 63 baras beet chukay hain,in 63 barson mai hum nay Taleemi maidan mai kayi utaar charhao dekhay,1947 november mai pehli taleemi conference munaqid hui jis mai QUAID E AZAM nay taleem ki ahmiyat ko ujagar kia,lekin afsos k 1948 sey lay k 1958 tak iss k zaman mai koi khas iqdam n alia ja ska, Ayub khan k Dor mai kafi koshishain ki gayeen takay taleemi maidan mai tabdeelian layi ja skain,both c policies murattab huin,kafi Comission bnaye gaye lekin koi khatir khua kamyabi us mai bhi hasil na ho saki, Bhutto dor mai private taleemi idaron ko nationalize kr dia gaya,jo k us dor ka 1 boht bra karnama tasawwur kia jata hai jis k tehet muft or 10th class tak teleem ko muft kia gaya.Zia dor mai 1 national taleemi policy bnayi gayi jis mai private sector ko moqa mila k wo taleemi maidan mai apna kirdar ada kar skay, isi trah junejo dor mai policy bnayi gayi or un k 5 nukati agenda mai taleemi shobay ko khas ehmiat di gayi,27400 million ki raqam taleemi shobay k liye mukhtas hui or usi dor mai NAI ROSHNI SCHEME ka aaghaz bhi kia gya. Dair asna Benazir or Nawaz shareef k Adwar mai b mukhtalif policies bnai gayeen lekin koi khatir kha taleemi inqalab na laya ja saka.

Taleem kisi b Qom or Mulk ki taraqqi ka bohot Ehem Hathyar hoti hai,Taleem k zariye zawal pazeeri ko roka ja skta hai.aaj hmary MULK MUMLIKAT-E-KHUDADAD PAKISTAN mai lakhon school,college or universities hain lekin whan taleem k dohray ma’yaar paye jatay hain, Dor-e-Jadeed mai zindagi ka ye ehem Ansar ghareeb ghurba ki dastras sey bahar hota jar aha hai,Pakistan mai lakhon sarkari school qaim hain lekin un mai bunyadi shulyat ka fukdan hai, tulaba ko bethny k liye Kursiyan tak mayassar nahi, Asatza karam bhi mehez apna farz talnay atay hain to dusri traf Beacon or LUMS jesay idaray bhi hain jahan koi mutawassat tabqa apnay bachon ko taleem dilwanay ka soch bhi nahi skta, is sey ye sawal peda hota hai k kia hum nay muashray/taleem ko 2 hisson mai baant dia hai ? ghareeb k liye wohi taat or soti wali taleem,jab k Umra k bachay AC class room k haq daar. Nahi balkay taleemi nizam mai yaksaniyat ka hona be had zaruri hai takay muashra 2 hisso main a batt paye,kyun k taleem he muashray ka wo hathyar hai jis k zarye sey hum Bad Amni, Dehshat gardi or mulk mai phelti la qanuniat ka mukabla kar skty hain. Chand roz Qabal CM Punjab Mian Shahbaz shareef nay South Punjab k ilaqay rahim yar khan mai DANISH SCHOOL SYSTEM ki bunyad dali jahan un ghareeb bacho ko taleem di jaegi jin k waldain ki tankhua 6 hazar mahana sey kam hai ya jo yateem hain, iss silsalay ki deegar shakhain Punjab k deegar pasmanda azlaa mai bhi kholi jayn gee, yhan ka taleemi mayar b deegar angraizi schools kit rah hoga,ye Wazir-e-ala ka taleemi maidan mai 1 inqalabi qadam kaha ja skta hai,lekin mai tamam subai or wafaqi hakumat ki tawajja un manda school or dars gahon ki traf dlwana chhta hun jo bunyadi zaruryat sey b mehroom hain,hakumat ko fori tor pey taleem ka nizam bdalna hoga asatza karam ki selection merit ki bunyado pey krni hogi, taleem k liye muktas budget mai izafa krna hoga or usko sahi jaga istamal b krwana hoga takay is mulk ka har institution DANISH school ban skay or ye muashra 2 hisso main batnay sey bach jaye. Agr aaj hum nay ainda anay walay nasal k liye hangami bunyado pey koi qadam na lia to shayad hum dunya mai bohot peechay reh jayn gay.iss mulk ko tabahi or barbadi sey bachany k liye or mustakbil kareeb mai 1 kamyab or taraqqi yafta Pakistan ndekhny k liye ye iqdamat krna intahayi Ehem hain.mai umeed zahir krta hun k hakoomat is mamlay ko sanjeedgi sey dekhay or iss pey fori amal ko bhi yaqeeni bnaye. 

1 comment:

  1. nice work Umair. Impressive stuff. Keep it up and write more like this.

    ReplyDelete